Dr. A. P. J Abdul kalam डॉ॰ ए॰ पी॰ जे॰ अब्दुल कलाम
Poonyatithi par smriti bhent,
Bharat ratna samman kalaam ji,
Shraddhanjali vandan samet..
Prernashrot aadhar kalaam ji...
Kbi nahi sveekar Haar thi,
Aise Mahan vyaktitva chhavi..
Desh Unhe sarvocchamtam priya tha,
Karm hi aapka praan kalaam ji..
Parishram ko hi jeevan jana,
Rashtra ko apna ghar mana...
Vikas prayas safal karne ko...
Kiye kaha aaram kalaam ji,
Buland rahe hausale jinke,
Bhed bhav ka bhav nhi..
Shiksha se tha prem unhen,
Kya raja kya aam kalam ji...
Padam bhooshan-padam vibhushan,
Aapne bharat ratna prapt kar..
Janak "missile" ke kehlaye
Aap desh k jaan kalaam ji
Poonyatithi par smriti bhet,
Bharat ratna samman kalaam ji...
Shraddhanjali vandan samet,
Prernashrot aadhar kalaam ji....
Khushihali ✍️
Smriti ki is bela me ? (Former President of india) Dr. A.P.J Abdul kalam ji ko shat-shat naman 🙏