Dada ji ki bat दादाजी की बात📝✍️

Yaad aayi mujhe aaj,
Dada ji ki ek baat...
Sambhal-sambhal kr chalna lado,
Duniya hai ek raaz...

Yaad ayi mujhe aaj,
Dada ji ki ek bat...

Dujo ke dukh me sab haste,
Apne swarth ki ye duniya...
Nahi rahunga tujhe batane,
Tu seekh abhi le muniyaa...
Shan se jeena tab sambhav jab,
Khud ko le majboot bna..
Apni mehnat ki roti ka,
Sucha ek saboot bna...
Thakna kabhi na badhte jana,
Din ho ya ho raat..

Yaad aayi mujhe aaj,
Dada ji ki ek baat...

Jisne ghabra kr Roya hai,
Usne khud ko hi khoya hai...
Jo dohrate bhooli-bisari,
Usne ranj sanjoya hai...
Gar na hu mai is duniya me,
Is baat gaanth tu lena bandh..
Koi nahi apna hai yaha,
Bas apne tere Kaam-kaaj...
Bas apne tere kaam-kaaj....

Yaad ayi mujhe aaj,
Dada ji ki ek bat....

                                 Khushihali ✍️






इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Hindi✍️ हिंन्दी